Jasprit Bumrah se leke Kuldeep Yadav tak, janiye IPL 2026 ke liye sabhi 10 teams ke retained bowlers ki suchi.
Indian Premier League ka 19th edition, yaani IPL 2026, ek baar phir se cricket ke sabse bade spectacle ko lekar aa raha hai. Matches shuru hone se pehle, sabhi 10 IPL teams ek crucial phase se guzrenge – IPL 2026 Player Retentions aur sabse zyada buzz create karne wala IPL 2026 Mini Auction. Abhi tak official auction date announce nahi hui hai, lekin reports ke mutabik yeh 15 December 2025 ke aas-paas ho sakta hai. Yeh event IPL season ke shuru hone se pehle ka sabse zyada charcha mein rehne wala moment ban gaya hai.
IPL teams ke liye bowlers backbone hote hain, aur unke bina cricket ka tournament adhoora lagta hai. Ab jab IPL 2026 ke liye sirf 2–3 mahine bache hain, franchises apne retained players list par brainstorming shuru kar chuki hain – especially jab baat bowlers ki ho. Fans ke liye sabse bada sawaal hai Kaunse bowlers ko teams retain karengi, aur kaun honge release? High-profile names jaise Jasprit Bumrah, Mohammed Siraj, Jofra Archer, Arshdeep Singh, etc., yeh sab spotlight mein rahenge during IPL 2026 player retentions. In bowlers ke around hone wale decisions IPL fans ke liye aur bhi exciting ban gaye hain.
Indian Premier League mein bowlers ko broadly do categories mein divide kiya jata hai – Fast Bowlers aur Spinners. In dono ke andar bhi ek aur classification hoti hai. Primary Bowlers – jo sirf bowling mein specialise karte hain aur All-Rounders – jo bat aur ball dono se contribute karte hain. IPL rules ke mutabik, franchises ke liye bowlers retain karne par koi official restriction nahi hai. Isliye teams apne core bowling units ke saath hi stick karne wali hain.
Gujarat Titans (GT) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Rashid Khan
- Gerald Coetzee
- Arshad Khan
- Kagiso Rabada
- Mahipal Lomror
- Manav Suthar
- Nishant Sindhu
- Rahul Tewatia
- Washington Sundar
- Kulwant Kejroliya
- Mohammed Siraj
- Prasidh Krishna
- R Sai Kishore
Gujarat Titans (GT) IPL 2026 Mini Auction se pehle apne 12 bowlers ko retain karne ka plan bana rahe hain, jisse unka bowling core mostly intact rahega. Leading names honge Rashid Khan, Kagiso Rabada, Mohammed Siraj, Prasidh Krishna, R Sai Kishore, Washington Sundar, etc. Yeh sabhi bowlers spin aur pace ka perfect balance provide karte hain. Inke alawa GT likely hai ki Arshad Khan, Kulwant Khejroliya, Gerald Coetzee, aur Rahul Tewatia jaise versatile bowlers ko bhi retain kare.
Mumbai Indians (MI) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Corbin Bosch
- Allah Ghazanfar
- Trent Boult
- Will Jacks
- Mitchell Santner
- Arjun Tendulkar
- Hardik Pandya
- Naman Dhir
- Raj Bawa
- Ashwani Kumar
- Deepak Chahar
- Jasprit Bumrah
- Karn Shrma
- Vignesh Puthur
Mumbai Indians (MI) IPL 2026 Mini Auction se pehle 14 bowlers ko retain karne ka plan bana rahe hain – yeh clearly dikhata hai ki MI ka focus hai bowling depth aur variety par. MI ka bowling attack phir se anchor karega unka trusted core Jasprit Bumrah, Trent Boult, Hardik Pandya, Ashwani Kumar, Mitchell Santner, aur Deepak Chahar. Yeh sabhi bowlers crunch moments mein performance deliver karte aaye hain, aur MI un par phir se bharosa kar raha hai.
Is strong foundation ke saath MI likely hai ki young Afghan spinner Allah Ghazanfar ko bhi retain kare – jo IPL 2025 miss kar gaye the injury ke wajah se, lekin long-term asset ke roop mein valuable hain. MI ka plan hai ki emerging Indian bowlers jaise Arjun Tendulkar, Vignesh Puthut, aur Raj Bawa ko bhi squad mein banaye rakhe – jisse bench strength aur future-ready options dono secure ho jaayein. Experienced international stars + promising domestic talents ka perfect mix MI ko IPL 2026 ke liye ek formidable bowling line-up deta hai – jo paper par toh already champion lag raha hai.
Kolkata Knight Riders (KKR) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Andre Russell
- Moeen Ali
- Sunil Narine
- Anrich Nortje
- Anukul Roy
- Harshit Rana
- Mayank Markande
- Umran Malik
- Vaibhav Arora
- Varun Chakravarthy
Kolkata Knight Riders (KKR) ka IPL 2025 outing utna impactful nahi tha, lekin IPL 2026 Mini Auction ke approach ke saath franchise apne core bowling unit ko retain karne ka plan bana raha hai. Bowling attack ke backbone honge Harshi Rana, Anrich Nortje, Vaibhav Arora, Varun Chakravarthy, Sunil Narine, aur Andre Russell. Yeh 6 bowlers KKR ke liye pace, spin aur experience ka solid combination banate hain.
Is core ke saath KKR likely hai ki in versatile bowlers ko bhi squad mein banaye rakhe Moeen Ali, Umran Malik, Mayank Markande, aur Anukul Roy. Experienced internationals + promising Indian talent ka yeh mix KKR ke bowling line-up ko IPL 2026 ke liye competitive aur balanced banata hai. Team ka focus hoga IPL 2025 ki shortcomings ko address karna aur ek consistent bowling unit ke saath comeback karna.
Royal Challengers Bengaluru (RCB) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Jacob Bethell
- Romario Shephard
- Josh Hazlewood
- Lungi Ngidi
- Nuwan Thushara
- Krunal Pandya
- Manoj Bhandage
- Swapnil Singh
- Bhuvneshwar Kumar
- Rasikh Dar
- Suyash Sharma
- Yash Dayal
IPL 2025 ke Champions Royal Challengers Bengaluru (RCB), IPL 2026 Mini Auction se pehle apne bowling unit mein zyada changes nahi karne wale hain. Jaise kehte hain, “don’t fix what isn’t broken”, RCB apne title-winning bowling core ko retain karne ka plan bana raha hai. Key bowlers jo likely hain RCB ke saath bane rehne Josh Hazlewood, Lungi Ngidi, Krunal Pandya, Nuwan Thushara, Suyash Sharma, Yash Dayal, Bhuvneshwar Kumar, aur Romario Shepherd. Yeh bowlers ne IPL 2025 mein pace, spin aur experience ka perfect mix diya tha. Is core ke saath RCB likely hai ki Swapnil Singh, Manoj Bhandage, aur Rasikh Dar ko bhi retain kare — jisse team ke paas bench strength aur match condition ke hisaab se depth bani rahe. Is solid bowling group ke saath, RCB IPL 2026 mein apna crown defend karne ke liye full ready lag rahi hai.
Chennai Super Kings (CSK) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Sam Curran
- Rachin Ravindra
- Matheesha Pathirana
- Nathan Ellis
- Noor Ahmad
- Ravindra Jadeja
- Shivam Dube
- Anshul Kamboj
- Khaleel Ahmed
- Ramkrishna Ghosh
Yellow Army, yaani Chennai Super Kings (CSK), IPL 2026 Mini Auction se pehle lagbhag 10 bowlers ko retain karne wali hai. Chahe IPL 2025 mein team 10th position par finish hui ho, lekin CSK ka bowling attack unki sabse badi strength bana raha. Key performers jo IPL 2026 ke liye core bowling group ka hissa honge Matheesha Pathirana, Noor Ahmad, Khaleel Ahmed, Ravindra Jadeja, Anshul Kamboj, and Sam Curran. Inke alawa CSK likely hai ki Nathan Ellis, Ramkrishna Ghosh, Shivam Dube, aur Rachin Ravindra ko bhi squad mein banaye rakhe – jisse team ke paas depth, variety aur balance bana rahe. Experienced internationals + young Indian bowlers ka yeh mix CSK ko IPL 2026 mein ek strong comeback karne ka mauka de sakta hai.
Lucknow Super Giants (LSG) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Mitchell Marsh (o)
- Will O’Rourke (o)
- Arshin Kulkarni
- Shahbaz Ahmed
- Akash Deep
- Akash Singh
- Avesh Khan
- Digvesh Rathi
- Prince Yadav
- Ravi Bishnoi
- Shardul Thakur
Lucknow Super Giants (LSG) IPL 2026 Mini Auction se pehle lagbhag 11 bowlers ko retain karne ka plan bana rahe hain – jisse team ke paas pace, spin aur all-round options ka perfect mix bana rahe. Bowling core ke centre mein honge Avesh Khan, Digvesh Rathi, Ravi Bishnoi, and Shardul Thakur. Yeh sabhi bowlers LSG ke liye consistently perform karte aaye hain. Sabse exciting naam hai Will O’Rourke, jo IPL 2025 mein limited opportunities mein kaafi impress kar gaye. Unka retention LSG ke overseas pace attack ko aur strong banata hai. Inke alawa LSG likely hai ki in bowlers ko bhi retain kare jaise Akash Singh, Prince Yadav, Akash Deep, Mitchell Marsh, Shahbaz Ahmed, and Arshin Kulkarni. Yeh squad ensure karta hai ki LSG ke paas depth, variety aur format-wise flexibility ho – jo IPL 2026 mein unke campaign ko aur powerful bana sakta hai.
Sunrisers Hyderabad (SRH) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Ehsan Malinga
- Kamindu Mendis
- Pat Cummins
- Abhishek Sharma
- Harsh Dubey
- Nitish Reddy
- Harshal Patel
- Jaydev Unadkat
- Simarjeet Singh
- Zeeshan Ansari
Sunrisers Hyderabad (SRH) IPL 2026 Mini Auction se pehle lagbhag 10 bowlers ko retain karne wali hai. Lekin franchise ke liye ek tough call hoga – Mohammed Shami aur Rahul Chahar ko squad mein banaye rakhe ya release karein. Dono experienced bowlers IPL 2025 mein form struggle karte nazar aaye, aur SRH unhe release karke purse value free kar sakti hai. Phir bhi SRH ka bowling unit kaafi strong lag raha hai, jisme ye core performers almost confirm hain jaise Pat Cummins, Ehsan Malinga, Simarjeet Singh, Jaydev Unadkat, Harshal Patel, aur Harsh Dubey. International stars + rising domestic talent ka yeh mix SRH ko IPL 2026 ke liye ek balanced bowling line-up deta hai — jo auction ke time unke strategy ko aur powerful bana sakta hai.
Delhi Capitals (DC) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Mitchell Starc
- Axar Patel
- Vipraj Nigam
- Kuldeep Yadav
- Mukesh Kumar
- T Natarajan
Delhi Capitals (DC) IPL 2026 Mini Auction se pehle ek cautious aur strategic approach lene wale hain. Franchise ka focus hoga sirf apne core bowlers ko retain karne par, jabki baaki bowlers ko release kiya ja sakta hai. DC ka key bowling group likely hai ki sirf in 6 bowlers tak limited rahe Axar Patel, Kuldeep Yadav, Vipraj Nigam, T Naratarajan, Mitchell Starc aur Mukesh Kumar. Inke alawa, DC apne bowling department mein major overhaul consider kar raha hai. Mohit Sharma, aur Dushmantha Chameera jaise experienced bowlers ko release kiya ja sakta hai – taaki squad mein fresh blood aur young talent ko jagah mil sake.
Rajasthan Royals (RR) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Wanindu Hasaranga
- Jofra Archer
- Nandre Burger
- Riyan Parag
- Akash Madhwal
- Kwena Maphaka
- Sandeep Sharma
- Tushar Deshpande
- Yudhvir Charak
Rajasthan Royals (RR) un chuninda IPL teams mein se ek hai jo apne overseas bowlers par heavily depend karte hain. IPL 2026 Mini Auction ke approach ke saath, RR likely hai ki apne 4 key international bowlers ko retain kare jaise Jofra Archer, Wanindu Hasaranga, Kwena Maphaka aur Nandre Burger. Yeh bowlers RR ke liye pace, spin variety aur international experience lekar aate hain – jo unke bowling attack ka backbone banate hain.
Is overseas core ke saath RR likely hai ki apne trusted Indian bowlers ko bhi squad mein banaye rakhe Sandeep Sharma, Akash Madhwal, Tushar Deshpande, aur Yudhvir Charak. Domestic consistency + overseas firepower ka yeh mix RR ke bowling unit ko IPL 2026 ke liye kaafi strong banata hai. Lekin ek area jahan RR ko aur strengthen karne ki zarurat ho sakti hai – wo hai Indian spin department. Expect karo ki RR auction mein promising local spinners ko target kare – taaki squad mein aur balance aur depth aaye.
Punjab Kings (PBKS) ke Likely Retained Bowlers List IPL 2026 ke Liye
- Azmatullah Omarzai
- Lockie Ferguson
- Marco Jansen
- Marcus Stoinis
- Musheer Khan
- Suryansh Shedge
- Arshdeep Singh
- Harpreet Brar
- Kuldeep Sen
- Pravin Dubey
- Vyshak Vijaykumar
- Yash Thakur
- Yuzvendra Chahal
IPL 2025 ke runner-up, Punjab Kings (PBKS), IPL 2026 Mini Auction se pehle apne majority bowlers ko retain karne ka plan bana rahe hain. Sabse bada dilemma hoga Yuzvendra Chahal ko lekar – jinka price tag high hai, lekin IPL 2025 mein unki consistent wicket-taking ability dekh kar lagta hai ki PBKS unhe ek aur season ke liye back karega. PBKS ka core bowling attack likely hoga Yuzvendra Chahal, Arshdeep Singh, Marco Jansen, Lockie Ferguson, Harpreet Brar, Vyshak Vijaykumar aur Azmatullah Omarzai
Yeh combination pace + spin ka strong mix provide karta hai. Depth aur flexibility badhane ke liye PBKS likely hai ki in bowlers ko bhi retain kare Marcus Stoinis, Kuldeep Sen, Yash Thakur, aur Pravin Dubey. Experienced internationals + promising young talents ka yeh blend PBKS ko IPL 2026 ke liye ek balanced aur match-ready bowling line-up deta hai.

